but-e-be-dard ka gham monis-e-hijran nikla dard jaana tha jise hum ne wo darman nikla aankh jab band hui tab khulin aankhen apni bazm-e-yaran jise samjhe the wo zindan nikla hasrat-o-yas ka amboh fughan ki kasrat main teri bazm se kya ba-sar-o-saman nikla khun ho kar to ye dil aankh se barson tapka na koi par dil-e-nakaam ka arman nikla aaina paikar-e-taswir nigah-e-mushtaq jise dekha teri mahfil mein wo hairan nikla mujh ko hairat hai hua kya dam-e-rukhsat hamdam jaan nikli mere pahlu se ki jaanan nikla khub dozakh ki musibat se bache hum 'hasrat' is ka darogha wahi yar ka darban nikla