bhule afsane wafa ke yaad dilwate hue tum to aae aur dil ki aag bhadkate hue mauj-e-mai bal kha gai gul ko jamai aa gai zulf ko dekha jo us aariz pe lahraate hue be-murawwat yaad kar le ab to muddat ho gai teri baaton se dil-e-muztar ko bahlate hue nind se uth kar kisi ne is tarah aankhen malin subh ke tare ko dekha aankh jhapkate hue hum to utthe jate hain lekin bata de is qadar kis ke dar ki khak chhane tere kahlate hue jhad kar daman 'asar' jis bazm se uth aae the aaj phir dekhe gae hazrat udhar jate hue