pade jo kaam to dil se kisi ka sath na de wo aadmi nahin jo aadmi ka sath na de charagh wo hai andheron ko jo kare raushan wo kya charagh hai jo raushni ka sath na de chaman mein ab to ye haalat hai ham-nashinon ki ki jaise koi qafas mein kisi ka sath na de andhera chha nahin sakta kabhi ujale par tumhaari zulf agar tirgi ka sath na de khuda kare o mere dil ko todne wale tera shabab teri nazuki ka sath na de gham-e-zamana se takra sake ye na-mumkin agar sharab meri zindagi ka sath na de agar kahin unhen be-parda dekh le 'anwar' yaqin hai chand kabhi chandni ka sath na de