bhule hue hain sab ki hai kar-e-jahan bahut lekin wo ek yaad hai dil par garan bahut kuchh raftagan ke gham ne bhi rakkha hamein nidhaal kuchh sadma-ha-e-nau se rahe nim-jaan bahut hum ko na zulf-e-yar na diwar se gharaz hum ko to yaad-e-yar ki parchhaiyan bahut wo sard-mehriyan ki hamein rakh kar gain sunte hain pahle hum bhi the aatish-ba-jaan bahut ek mauj-e-fitna-sar ki rawan har nafas mein hai har dam yaqin se pahle uthe hain guman bahut ab ke junun mein mauj-e-saba ka bhi hath hai mauj-e-saba ki ab ke uthi sargiran bahut ab ye khabar nahin wo samundar hai ya sarab apne yahan hai tishnagi-e-jism-o-jaan bahut sahra se warna apna ilaqa nahin hai kuchh aashuftagi-e-sar ki hawa hai yahan bahut