kahan kisi ko dikhai gai hai khamoshi baghair jism banai gai hai khamoshi tazad ye hai bana kar khanakti mitti se mere lahu mein milai gai hai khamoshi bala ka shor undela gaya hai kanon mein magar zaban ko sikhai gai hai khamoshi zamin pe is ka guzara nahin tha is bais khala ke beach basai gai hai khamoshi kuchh is liye bhi hua shor-e-bazm-e-mai ki unhen ghazal bana ke sunai gai hai khamoshi