bhuli-bisri yaadon ki baraat nahin aai ek muddat se hijr ki lambi raat nahin aai aati thi jo roz gali ke sune nukkad tak aaj hua kya wo parchhain sat nahin aai mujh ko taaqub mein le aai ek anjaan jagah khushbu to khushbu thi mere hat nahin aai is duniya se un ka rishta aadha-adhura hai jin logon tak khwabon ki saughat nahin aai upar wale ki man-mani khalne lagi hai ab meinh barsa do-chaar dafa barsat nahin aai