zakhm khana hi jab muqaddar ho phir koi phul ho ki patthar ho main hun khwab-e-giran ke narghe mein raat guzre to marka sar ho phir ghanimon se be-khabar hai sipah phir aqab se numud lashkar ho kya ajab hai ki khud hi mara jaun aur ilzam bhi mere sar ho hain zamin par jo gard-baad se hum ye bhi shayad falak ka chakkar ho us ko tabir hum karen kis se wo jo hadd-e-bayan se bahar ho dekhna hi jo shart thahri hai phir to aankhon mein koi manzar ho