bich samundar rahta hun

bich samundar rahta hun
lekin phir bhi pyasa hun

apne bachchon ki nazron mein
main do din ka bachcha hun

zulm sahun khamosh rahun
kya main ek farishta hun

sadiyan padh kar duniya ki
lamhe us ke samjha hun

sach kahne ki aadat hai
yun main mujrim thahra hun

bhid mein tanha rahne ka
zahr hamesha pita hun

sab apne se lagte hain
main bhi kitna sidha hun

khushbu le kar chahat ki
basti basti phirta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close