bichhad gae to ye dil umr bhar lagega nahin lagega lagne laga hai magar lagega nahin nahin lagega use dekh kar magar khush hai main khush nahin hun magar dekh kar lagega nahin hamare dil ko abhi mustaqil pata na bana hamein pata hai tera dil udhar lagega nahin junun ka hajm zyaada tumhaara zarf hai kam zara sa gamla hai is mein shajar lagega nahin ek aisa zakhm-numa dil qarib se guzra dil us ko dekh ke chikha thahar lagega nahin junun se kund kiya hai so us ke husn ka kil mere siwa kisi diwar par lagega nahin bahut tawajjoh ta'alluq bigad deti hai ziyaada darne lagenge to dar lagega nahin