aaj ek marne wala kahta tha bekali mein hasrat meri na nikli thodi si zindagi mein taklif bhi isi mein aaram bhi isi mein donon ko hum ne dekha do din ki zindagi mein qudrat ye kah rahi hai kuchh kar le zindagi mein fitrat shanas ho kar khoya hai tu khushi mein guzra bade maze se iflas ka zamana pita tha khun dil ka main daur-e-muflisi mein gulshan jo ho gaya hai nazr-e-khizan hamara pinhan tha raaz-e-hasti shayad kali kali mein mutrib-nawaz fitrat kahti hai ahl-e-dil se tar-e-nafas ko chhedo naghma hai bas isi mein saqi ko bhul jaun mutrib ko bhul jaun kuchh aur bhi izafa ho meri be-khudi mein bagh-e-jahan se kyunkar ahl-e-jahan na khush hon har gul mein rang tera bu teri har kali mein charkh-e-barin pe fauran pi kar mera pahunchna sair-e-falak-numa thi har jam-e-sarmadi mein aawaz-e-nai ko sun kar be-khud hua 'wafa' bhi bhar di sada-e-dilkash ye kis ne bansuri mein