bichhad ke bhi mila ruswaiyon ka qahr tujhe chhupa saka na tere aansuon ka shahr tujhe ye chadhti dhup ka malbus utar de sar-e-sham utarti dhup mein ab dekhta hai shahr tujhe har ek sail-e-sada ko tu kar gaya payab dubo saki na meri chahaton ki nahr tujhe bikharti kirnon ko aangan mein thamne wale mah-e-tamam ka pina padega zahr tujhe tu chhod aaya jise dubte jazire mein dikhai dega wahi chehra lahr lahr tujhe badan ko tod ke bahar nikal bhi aa kisi shab hisar-e-jism mein jine na dega dahr tujhe 'musawwir' us ka mudawa bhi tu ne kuchh socha wo rog jo liye phirta hai shahr shahr tujhe