log kahte hain bahut zinda-o-painda hun kis ko malum hai ye sach ki tera kushta hun zindagi nam tanaffus ka nahin hai jaanan shikwa be-ja hai ki bin tere bhi main zinda hun mar hi deti mujhe teri ye furqat lekin kab teri yaad ne chhoda hai ki main tanha hun hai baja teri judai mein to mar jaana tha main magar hijr mein bhi wasl se wabasta hun marne jine ka sabab khub hai malum mujhe sard-mehri hai kisi ki jo main ek lasha hun be-rukhi ka hai wo ek sang faqat sang hai wo aur main us ke liye shisha faqat shisha hun wo ki hai mere liye aatish-e-dil ai 'khalid' main magar us ke liye sirf dhuen jaisa hun