bichhad ke donon ke zehnon pe bojh padta hai rahen jo sath to aankhon pe bojh padta hai phalon ke hone se shakhen faqat lachakti hain phalon ke girne se shakhon pe bojh padta hai tumhaare zikr ki aadat hui hai aisi inhen kuchh aur bolen to honton pe bojh padta hai bas ek chehre ko sapne mein dekhne ke liye tamam umr ki nindon pe bojh padta hai 'azim' dur ke rishton ko dur rakkha kar wagarna pas ke rishton pe bojh padta hai