bichhad ke us se abhi hun zinda magar bahut pur-malal ab tak khabar nahin wo sanbhal chuka hai ya wo bhi hai khasta-haal ab tak mujhe tera intizar kyon hai ye dil mera be-qarar kyon hai mere khayal-o-nazar mein dekho yahi hai bas ek sawal ab tak kaha gaya waqt sare zakhmon ka aap marham banega ek din kaho ki zakhmon ka kyon nahin ho saka bhala indimal ab tak kahan ye mumkin ki bhul jaun main zindagi ki hasin yaaden bataun kaise ki hijr mein hun main ranj-o-gham se nidhaal ab tak main ek mashal main ek jugnu main ek sham-e-wafa hun 'shahin' mere khuda ne rakha hua hai mujhe to yun khush-khayal ab tak