kya kahen kaise basar hijr ki raaten ki hain umr bhar chand se ek shakhs ki baaten ki hain kab azanon se na mamur tha kaba dil ka kab faqiron ne qaza ishq-salaten ki hain teri khushbu se koi khat na hawa par likha khushk kis dhup ne phulon ki dawaten ki hain haar to khel ka hissa thi magar farq ye hai mat se pahle hi tah hum ne bisaten ki hain laut jate hain ye takra ke sar-e-sahil se muztarib zehnon ne kab par furaaten ki hain doli utthi na tahi-chashm sitaron ki 'najib' subh-e-namnak ne rukhsat ye baraaten ki hain