bichhadte tutte rishton ko hum ne dekha tha ye waqt hum pe bhi guzrega ye na socha tha nami thi palkon pe bhiga hua sa takiya tha pata chala ki koi khwab hum ne dekha tha hamare zehn mein ab tak usi ki hai khushbu tumhaare sehn mein bele ka ek pauda tha khurach ke phenk dun kis tarah dagh yaadon ke main bhul jata wo sab kuchh to kitna achchha tha hamare haal ko dekho nigah-e-ibrat se ye baat hum se na puchho ki kaun kaisa tha janab-e-khizr kahan aap mujh ko chhodenge jo sath chhod gaya wo bhi aap jaisa tha milega kyun kisi dushman ki aastin pe lahu tumhaara 'shams' nigah-e-karam ka mara tha