bichhadte waqt ye kya kar raha hai main us ka hun ye dawa kar raha hai zamane mein jo dariya kar na paya wo sare kaam qatra kar raha hai dil-e-nadan tujh ko kya kahun tu usi ki phir tamanna kar raha hai raha nirwastr shab bhar khwahishon sa sahar hote hi parda kar raha hai usi ka nam honton tak na aaya jo sab se meri charcha kar raha hai mujhe nicha dikhana chahta tha habibon ko ikattha kar raha hai