nale mein kabhi asar na aaya is nakhl mein kuchh samar na aaya allah-ri meri be-qarari chain un ko bhi raat bhar na aaya kahta hun ki aa hi jaega sabr ye fikr bhi hai agar na aaya ghaflat ke pade hue the parde wo pas raha nazar na aaya aankhon se hua jo koi ojhal 'bekhud' mujhe kuchh nazar na aaya