bichhde hue logon ko sine mein basa rakhna apna to muqaddar hai aankhon ko bujha rakhna socha nahin karte hain biti hui baaton ko bahte hue ashkon ko himmat se daba rakhna sone si koi surat ubhregi chatanon par suraj se do-pahri bhar ek rabt bana rakhna shayad yahin mil jae wo shakhs jo bichhda hai sunsan se manzar ko baaton mein laga rakhna kandhon pe utha rakhna duniya ke har ek gham ko aur khud ko zamana ki fitrat se juda rakhna roen to wahi aankhen dhundhen to wahi chehra aadat si koi jaise din raat bana rakhna ek aas to rahti hai ye zindagi rahne tak in bewafa logon ki fihrist bana rakhna