ye khud bahal jaegi tabiat kisi ki koi kami nahin hai mujhe dilason ki kya zarurat meri musibat nai nahin hai suna bahut tha hamare qisse sabhi jaridon mein chhap chuke hain mein padh chuki hun ye sare column wo ek khabar to lagi nahin hai ye gham sharakat ka wo hi samjhe jo is aziyyat mein mubtala hai tum itne maghrur is liye ho tumhaari chahat bati nahin hai alag alag hain hamari rahen hamari mushkil judi hui hai mujhe masafat ke hain masail use bhi manzil mili nahin hai tumhaara lahja tumhaari baaton ka sath dene se dar raha hai ye sab dikhawa hi kar rahe ho tumhein mohabbat hui nahin hai