bigad mein bhi banao hai aadmi ke liye ujad raha hun main ek taza zindagi ke liye badal gae hain zamane ke sath husn ke taur kuchh aur chahte ab rasm-e-ashiqi ke liye ye soch kar ki inayat kiya hua hai tera dua na mangi kabhi dard mein kami ke liye mulahiza ho ye isar-e-phul hans hans kar ujad raha hai kali ki shaguftagi ke liye guman tak mein na thin jibrail ke jo kabhi wo rifaten hain yaqin aaj aadmi ke liye pila ke zahr hi be-gana-e-do-alam ko taras gaya hun main thodi si be-khudi ke liye kuchh aur tegh-e-wafa zahr mein bujhae ja yahi hai aab-e-hayat aaj zindagi ke liye