bigde wo lakh tarah magar gul na ho saka main apne sadqe yan bhi tamul na ho saka go hichkiyan rahin mujhe mina ki yaad mein lekin ada tarana-e-qulqul na ho saka mumkin nahin mera dil-e-pazh-murda shad ho kumhla gaya jo ghuncha wo phir gul na ho saka allah re josh aap ki bakhshish ke baad bhi ashkon se mere tark-e-tasalsul na ho saka bigda hua mizaj sambhalta nahin 'nasim' tanon ka un ke mujh se tahammul na ho saka