zindagi motiyon ki dhalakti ladi zindagi rang-e-gul ka bayan dosto gah roti hui gah hansti hui meri aankhen hain afsana-khwan dosto hai usi ke jamal-e-nazar ka asar zindagi zindagi hai safar hai safar saya-e-shakh-e-gul shakh-e-gul ban gaya ban gaya abr abr-e-rawan dosto ek mahakti bahakti hui raat hai ladkhadati nigahon ki saughat hai pankhudi ki zaban phul ki dastan us ke honton ki parchhaiyan dosto kaise tai hogi ye manzil-e-sham-e-gham kis tarah se ho dil ki kahani raqam ek hatheli mein dil ek hatheli mein jaan ab kahan ka ye sud-o-ziyan dosto dosto ek do jam ki baat hai dosto ek do gam ki baat hai han usi ke dar-o-baam ki baat hai badh na jaen kahin duriyan dosto sun raha hun hawadis ki aawaz ko pa raha hun zamane ke har raaz ko dosto uth raha hai dilon se dhuan aankh lene lagi hichkiyan dosto