bigdi hui qismat ko badalte nahin dekha aa jae jo sar par use talte nahin dekha kyun log hawa bandhte hain himmat-e-dil ki hum ne to use gir ke sambhalte nahin dekha hum jaur bhi sah lenge magar dar hai to ye hai zalim ko kabhi phulte-phalte nahin dekha ahbab ki ye shan-e-harifana salamat dushman ko bhi yun zahr ugalte nahin dekha ashkon mein sulagti hui ummid ko dekho pani se agar ghar koi jalte nahin dekha har-dam mere dil hi ko jalati rahen aahen ghar ghair ka lekin kabhi jalte nahin dekha wo rah sujhate hain hamein hazrat-e-rahbar jis rah pe un ko kabhi chalte nahin dekha ulfat mein agar jaan nikal jae to sach hai dil se magar arman nikalte nahin dekha kyun chahne walon se khafa aap hain itne parwanon se yun shama ko jalte nahin dekha har ek ilaj-e-dil betab hai be-sud is ko to kisi taur bahalte nahin dekha ai 'arsh' gunah bhi hain tere dad ke qabil tujh ko kaf-e-afsos bhi malte nahin dekha