bayan hon bhi to hon aakhir kahan jo dil ki baaten hain na tanhai ki baaten hain na ye mahfil ki baaten hain murattab kar liya yun hum ne afsana mohabbat ka kuchh un ke dil ki baaten hain kuchh apne dil ki baaten hain jo un mein phans gaya phir rah par wo aa nahin sakta bade chakkar ki baaten rahbar-e-manzil ki baaten hain tumhaara waz raaz-e-ishq kya kholega ai waiz zaban ki ye nahin hazrat ye chashm-o-dil ki baaten hain wo mahfil se juda bhi ho chuke mahfil ko garma kar magar mahfil mein ab tak garmi-e-mahfil ki baaten hain zaban se kuchh kaho sahab magar malum hai hum ko tumhaare dil ki sab baaten hamare dil ki baaten hain mujhe dars-e-sukun dete hain wo josh-e-tamanna mein udhar tufan ki khwahish hai idhar sahil ki baaten hain main apne haal-o-mazi par bhi kuchh ai 'arsh' ro leta magar pesh-e-nazar is waqt mustaqbil ki baaten hain