bikhar rahe the har ek samt kaenat ke rang magar ye aankh ki jo dhundti thi zat ke rang hamare shahr mein kuchh log aise rahte hain safar ki samt batate hain jin ko raat ke rang ulajh ke rah gae chehre meri nigahon mein kuchh itni tezi se badle the un ki baat ke rang bas ek bar unhen khelne ka mauqa do khud in ki chaal bata degi sare mat ke rang hawa chalegi to khushbu meri bhi phailegi main chhod aai hun pedon pe apni baat ke rang