kabhi to harf-e-dua yun zaban talak aae utar ke jis ki pazirai ko falak aae kam-az-kam itne to aaina-dar hon chehre ki dil ke haal ki chehre pe bhi jhalak aae to phir ye kaun sa rishta hai gar na uns kahun jo ashk mere teri aankh se chhalak aae saja saja ke jo rakkhe the sadiyon sadiyon ne wo khwab khwab manazir palak palak aae 'naqib' yun tere lahje mein be-hijab ho fan ghazal ke dosh se aanchal zara dhalak aae