bikharti khak mein koi khazana dhundhti hai thaki-haari zamin apna zamana dhundhti hai shajar katte chale jate hain dil ki bastiyon mein teri yaadon ki chidiya aashiyana dhundhti hai yaqin ki sar-zamin zahir hui ujde lahu mein ye arz-e-be-watan apna tarana dhundhti hai bhatakti hai tujhe milne ki khwahish mahfilon mein ye khwahish khwahishon mein aastana dhundhti hai tere gham ka khumar utra adhuri kaifiyat mein ye kaifiyyat koi mausam purana dhundhti hai bikharta hun judai ki akeli wusaton mein ye virani mere ghar mein thikana dhundhti hai meri mitti sajai ja rahi hai aanganon mein ye raston par tadapne ka bahana dhundhti hai