bikne wale ko bharosa hai bahut bazar par

bikne wale ko bharosa hai bahut bazar par
phul rakkha rah gaya boli lagi hai khar par

chaal suraj chal raha hai khel hai din-raat ka
dhup aangan mein utar ke chadh gai diwar par

jab dawa deni thi chaaragar ne bas itna kiya
ek naya ilzam us ne rakh diya bimar par

haar mein rahte hain chhup ke jit jaane ke sabaq
hausla zinda hai matam kyon manaen haar par

lad ke tufan se wo kashti par lag jati magar
na-khuda ko tha yaqin khud se ziyaada dhaar par

har khushi be-rang lagti dil kahin lagta nahin
dur hum rahte hain ghar se jab kisi tyauhaar par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close