bimar-e-mohabbat ki dawa aur hi kuchh hai

bimar-e-mohabbat ki dawa aur hi kuchh hai
kuchh aur hi samjhe the hua aur hi kuchh hai

'azad' ki tahrir ka andaz alag hai
'iqbaal' ke naghmon ki nawa aur hi kuchh hai

is ahd mein har-samt hai ek aalam-e-mahshar
hai dil mein jo ek hashr bapa aur hi kuchh hai

be-sud qafas mein hai har aasaish-e-duniya
parwaz ko aazad faza aur hi kuchh hai

jazbaat mein ikhlas se badh kar nahin kuchh bhi
be-laus mohabbat ka maza aur hi kuchh hai

fan-pare mein hai pas-e-riwayat bhi zaruri
tahrir ka uslub naya aur hi kuchh hai

hai karb ka ehsas jo jine nahin deta
na-karda gunahi ki saza aur hi kuchh hai

zahid ki riya-kar ibaadat se hai afzal
allah ke bandon ka bhala aur hi kuchh hai

sirat mein hai jo husn wo surat mein nahin hai
pakizgi-o-sharm-o-haya aur hi kuchh hai

be-maut bhi marne pe wo kar deta hai majbur
nazron mein hai jo tez qaza aur hi kuchh hai

mahdud hai shahon ki gadaon pe nawazish
bandon pe ye inam-e-khuda aur hi kuchh hai

yun to hain mashahir-e-sukhan shohra-e-afaq
'barqi' ki alag tarz-e-ada aur hi kuchh hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close