use apna bana kar dekhna hai ye jokhim bhi utha kar dekhna hai karen baaten dilon ki hum do jaanan jahan sara bhula kar dekhna hai ki lafzon ko banana hai sitare kitabon ko saja kar dekhna hai sar-e-mahfil karen jo dil-farebi ab un ko aazma kar dekhna hai andheron se nibhana hai mujhe ab charaghon ko bujha kar dekhna hai