bimar sa hai jism-e-sahar kanp raha hai ye kis ne ujalon ka lahu chus liya hai ai dost teri yaad ka mahtab-e-darakhshan ab yas ki ghanghor ghataon mein chhupa hai is daur mein sunsan se hain baam-o-dar-e-zist naghmon ne khamoshi ka kafan odh liya hai sannaton ke kaf par meri taswir bani hai tanhai ke aanchal pe mera nam likha hai main shahr ki jalti hui sadkon pe khada hun wo dasht mein kharon mein mujhe dhund raha hai