dasht mein ghas ka manzar bhi mujhe chahiye hai sar chhupane ke liye ghar bhi mujhe chahiye hai thodi tadbir ki saughat hai matlub mujhe aur thoda sa muqaddar bhi mujhe chahiye hai tairne ke liye dariya bhi hai kafi lekin shauq kahta hai samundar bhi mujhe chahiye hai sirf diwaron se hoti nahin ghar ki takmil chhat bhi darkar hai aur dar bhi mujhe chahiye hai gahe footpath bichha kar bhi main so jaunga gahe ek makhmalin bistar bhi mujhe chahiye hai teri masum adai bhi sar aankhon pe magar tujh mein ek shokh sitamgar bhi mujhe chahiye hai chahiye hai kabhi rela bhi mujhe sardi ka aur kabhi dhup ka lashkar bhi mujhe chahiye hai istiare bhi zaruri hain sukhan mein lekin sher mein sanat-e-paikar bhi mujhe chahiye hai guftugu kis se karen baunon ki basti mein 'khumar' baat karni hai to ham-sar bhi mujhe chahiye hai