bina-e-sajda hun sajde ki ibtida hun main

bina-e-sajda hun sajde ki ibtida hun main
jo khud-numa hain wo dekhen khuda-numa hun main

mera wajud hai elan-e-kalima-e-tauhid
jahan mein ghaib se aai hui nida hun main

mujhe sulaegi ab kya hawa-e-khwab-e-fana
ziya-e-husn se bedar ho chuka hun main

ajal ka kaam nahin meri hall-e-mushkil mein
ki manzil-e-gham-e-hasti se badh gaya hun main

kashish meri yahin manzil ko khinch laegi
yahi to naz hai mujh ko shikasta-pa hun main

jabin-e-shauq ko kya imtiyaz-e-dair-o-haram
kise khabar hai ki kis dar pe jibah-sa hun main

kisi ki lauh-e-jabin par shikan ye kahti hai
ki be-khudi mein koi raaz kah gaya hun main

bas ai talatum-e-tufan-e-arzu bas kar
ki ab tabah safine ka nakhuda hun main

maal-e-kashmakash-e-dard kuchh hua 'hirman'
suna hai maut ki ek nind le raha hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close