kaho kis tarah hon qail sukun-e-qalb-e-muztar ke zara jumbish hui paida hue aasar mahshar ke phiri hain aa ki sahar-afrin nazren ye kya kar ke abhi to jaan si aai thi ummidon mein marmar ke falak ne jis qadar paida kiye andaz mahshar ke karishme hain wo sab teri ada-e-fitna-parwar ke tabassum mein bhi dil gham ki jhalak pahchan leta hai ye dard-o-gham azal se rahne wale hain isi ghar ke hamari intiha-e-na-tawani hadd-e-manzil hai salamat larzish-e-pa kaun le ehsan rahbar ke kise malum husn-e-jalwagar ki kar-farmai nazar kis se milate dekhne wale nazar bhar ke mere zabt-e-alam ne tab-e-goyai na di mujh ko sunata ahl-e-alam ko fasane zindagi bhar ke zaban katti hai jis dar par sada dete dua dete gada kahlate hain 'hirman' hum us bedard ke dar ke