birha ki kali raaton mein jab bhi dil ghabraata hai

birha ki kali raaton mein jab bhi dil ghabraata hai
main dil ko samjhata hun aur dil mujh ko samjhata hai

us jaisa be-bak na dekha main ne koi zamane mein
mera hi dil chori kar ke mujh se nazar milata hai

aaine ko kyon hairat hai dekh ke mere ashkon ko
tanhai mein rone se gham ka baadal chhat jata hai

tark-e-wafa karne ki us ki apni hi majburi thi
phir bhi us ko dekh ke tanha dil mera bhar aata hai

pyar mera to jhutlata hai har apne begane se
aisi baaten kar ke mere dil ko kyon dahlata hai

aaj ghira hun gham ke bhanwar mein kal khushiyan hongi hasil
maujon se jo takraata hai wo sahil pa jata hai

ye duniya jab zakhm koi deti hai main hans deta hun
lekin aankhen bhar aati hain zikr jo tera aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close