dil-e-shorida-sar hai aur main hun

dil-e-shorida-sar hai aur main hun
harif-e-fitna-gar hai aur main hun

gham-e-sham-o-sahar hai aur main hun
sitaron par nazar hai aur main hun

kisi ka sang-e-dar hai aur main hun
ilaj-e-dard-e-sar hai aur main hun

jise kahiye bala-e-ahd-e-piri
wo sham-e-be-sahar hai aur main hun

jo pahle tha gham-e-dil aaj bhi wo
ba-unwan-e-digar hai aur main hun

wo apna dil udhar bahla rahe hain
idhar dard-e-jigar hai aur main hun

qayamat bhi wahin barpa hui hai
jahan un ki nazar hai aur main hun

abhi baqi hain do aawara-e-dasht
rah-e-gham mein khizar hai aur main hun

khuda jaane mujhe kya ho gaya hai
sawal-e-mukhtasar hai aur main hun

baja hai kyon yahan aane lage tum
ye ek viran sa ghar hai aur main hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close