bisat-e-bazm ulaT kar kahan gaya saqi

bisat-e-bazm ulat kar kahan gaya saqi
faza khamosh, subu chup, udas paimane

na ab wo jalwa-e-yusuf na misr ka bazar
na ab wo husn ke tewar, na ab wo diwane

na harf-e-haq, na wo mansur ki zaban, na wo dar
na karbala, na wo katte saron ke nazrane

na bayazid, na shibli, na ab junaid koi
na ab o soz, na aahen, na haw-hu khane

khayal-o-khwab ki surat bikhar gaya mazi
na silsile na wo qisse na ab wo afsane

na qadr-dan, na koi ham-zaban, na insan dost
faza-e-shahr se behtar hain ab to virane

badal gae hain taqaze mizaj-e-waqt ke sath
na wo sharab, na saqi, na ab wo mai-khane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close