waqt majbur apni aadat se

waqt majbur apni aadat se
badle lamhon ko apni chahat se

kab raha shauq jitne ka hamein
haarte hi rahe hain qismat se

us ki hi be-rukhi ka hai anjam
hum hue dur us ki ulfat se

dard gham ranj aahen khamoshi
aur paya hai kya mohabbat se

us ne kar li hi khud-kushi aakhir
tha pareshan wo apni ghurbat se

do nigahon se danw khela phir
le gae dil ko wo shararat se

hum ko banna zamane ke jaisa
aa gae tang hum sharafat se

'sarthi' tu bhi ab badal khud ko
sikh kuchh to badalti qudrat se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close