bisat-e-rang-o-bu aatish-fishan malum hoti hai rag-e-gul mein nihan barq-e-tapan malum hoti hai tamanna hi se qaem hai waqar-e-naujawani bhi tamanna garche jins-e-raegan malum hoti hai kinara hai koi is ka na is ka koi sahil hai mohabbat ek bahr-e-be-karan malum hoti hai guzishta wardaton par main jab bhi ghaur karta hun mujhe har wardat ek dastan malum hoti hai wafa-koshi ka jazba sard pad jata hai piri mein wafa parwarda-e-fikr-e-jawan malum hoti hai asar baqi abhi tak hai nigahon mein jawani ka mujhe har ek shai ab bhi jawan malum hoti hai jafa-o-jaur ke qisse hain ab bhi mo'atabar 'farigh' wafa ki baat zeb-e-dastan malum hoti hai