bismil kisi ko rakhna rasm-e-wafa nahin hai aur munh chhupa ke chalna shart-e-wafa nahin hai zulfon ko shana kije ya bhaun bana ke chaliye gar pas dil na rakhiye to ye ada nahin hai ek roz wo sitamgar mujh se hua mukhatib main ne kaha ki pyare ab ye rawa nahin hai marte hain hum tadapte phirte ho tum har ek ja jaana ki tum ko hum se kuchh muddaa nahin hai tab sun ke shokh dilkash jhunjhla ke kahne laga kya waza meri 'asif' tu jaanta nahin hai