aabla khar-e-sar-e-mizhgan ne phoda sanp ka seli-e-zulf-e-rasa ne kalla toda sanp panja-e-dandan teri kanghi ne moda sanp ka kar ke gesu-e-kalai hath toda sanp ka kudki si mere sar par ishq-e-gesu hai sawar chob ki badli banata tha main ghoda sanp ka bar-e-firauni pe teri zulf agar bandhe kamar azhdar-e-musa ke tausan par ho kuda sanp ka main hun wo ranjur-e-gesu aks agar mera pade mohr-e-har-e-ustukhwan ban jae phoda sanp ka jab siyah botal se mai-rezi hui daur-e-firaq main ye samjha zahr saqi ne nichoda sanp ka hai qadam us ka hawa par panw us ka khak par zulf ke mushki ko kab pata hai ghoda sanp ka aashiq-e-zulf-e-siyah ko is tarah tazir do sanp ki rassi banao aur koda sanp ka zulf-e-kaj-raftar ki kab chaal chal sakta hai wo aisi thokar khae sar ban jae roda sanp ka ek din ho jaega raushan siyah-kari ka haal donon baghlon mein jaride hain ki joda sanp ka jaanta hun main tere ras-o-zamb ko ai falak mere dasne ke liye pala hai joda sanp ka kya tajjub husn-e-jaanan se agar puchhe gazand khal mein bichchhu ka joda zulfen joda sanp ka sanp ke kate ki lahr aae jo wasf-e-zulf mein 'bahr' ne phir to koi mazmun na chhoda sanp ka