bite baras ki yaad ka paikar utar de diwar se purana calendar utar de rakh di hai us ne khol ke khud jism ki kitab sada waraq pe le koi manzar utar de bhiga hua libas badan bhi jalaega us se kaho ki sar se wo gagar utar de donon mein ek ko to milin sukh ki saaten la apna bojh bhi mere sar par utar de phir kya karoge hai to usi ka buna hua kah de agar wo la ye sweater utar de yun jhanjhana ke tutta tara bikhar gaya jaise urus-e-shab koi zewar utar de chahe hai jaan-o-mal ki jo khairiyat 'nazar' shahr-e-hawas se dur hi lashkar utar de