ek mahal tha raja ka ek raj-kumari hoti thi us raja ko apni parja jaan se pyari hoti thi baba kahte ye jo khandar hai sita-ram ka mandir tha us mandir ki ek pujaran ram-dulari hoti thi pushpa aur radha bhi donon meri bahnen hoti thin mangal-das aur meri beta gahri yari hoti thi ek diye ki lau mein baba 'mir' aur 'ghaalib' padhte the ek angethi hoti thi aur ek almari hoti thi sham dhale ek lawn mein sare baith ke chae pite the mez hamara ghar ka tha kursi sarkari hoti thi ek kuan mithe pani ka aur ek budha bargad tha ek mohabbat ka gahwara basti sari hoti thi mithe giton ki wo risna mithi dhun aur mithe bol puran-mashi par aangan mein shab-bedari hoti thi ab jo mulla waiz kare to khauf sa aane lagta hai mohan-das se naten sun kar riqqat tari hoti thi rishton ka ehsas lahu ke andar rachta-basta tha kab aisi nafsa-nafsi aur mara-mari hoti thi