bitha ke dil mein giraya gaya nazar se mujhe dikhaya turfa-tamasha bala ke ghar se mujhe nazar jhuka ke uthai thi jaise pahli bar phir ek bar to dekho usi nazar se mujhe hamesha bach ke chala hun main aam rahon se hata saka na koi meri rahguzar se mujhe hayat jis ki amanat hai saunp dun us ko utarna hai ye qarza bhi apne sar se mujhe subu na jam na mina se mai pila be-shak pilae ja mere saqi yunhi nazar se mujhe jo baat hoti hai dil mein wo kah guzarta hun nahin hai koi gharaz ahl-e-khair-o-shar se mujhe na dair se na haram se na mai-kade se mila sukun-e-ruh mila hai jo tere dar se mujhe kisi ki rah-e-mohabbat mein badhta jata hun na rahzan se gharaz hai na rahbar se mujhe zara to soch hiqarat se dekhne wale zamana dekh raha hai teri nazar se mujhe zamana meri nazar se to gir gaya lekin gira saka na zamana teri nazar se mujhe ye rang-o-nur ka 'gulzar' dahr-e-fani hai yahi payam mila umr-e-mukhtasar se mujhe