na mohtasib ki na hur-o-jinan ki baat karo mai-e-kuhan ki nigar-e-jawan ki baat karo kisi ki tabish-e-rukhsar ka kaho qissa kisi ke gesu-e-ambar-fishan ki baat karo ziya hai shahid-o-shama-o-sharab se us ki farogh-e-mahfil-e-ruhaniyan ki baat karo jo muddaa ho kisi qibla-e-murad ka zikr to aastana-e-pir-e-mughan ki baat karo nahin hua jo tulua aaftab to filhaal qamar ki baat karo kahkashan ki baat karo rahega mashghala-e-yaad-e-raftgan kab tak guzar raha hai jo us karwan ki baat karo ye qaid-o-said ke andesha-ha-e-be-ja kya chaman ki fikr karo aashiyan ki baat karo yahi jahan hai hangama-zar-e-sud-o-ziyan isi ke sud isi ke ziyan ki baat karo ab is chaman mein na sayyaad hai na gulchin hai karo to ab sitam-e-baghban ki baat karo khuda ke zikr ka mauqa nahin yahan 'salik' dayar-e-hind mein husn-e-butan ki baat karo