bitha rakkha hai darwaze pe kyon darban holi mein gale milta hai har insan se insan holi mein budhape mein nazar aai khuda ki shan holi mein bani hain un se zaid un ki amman jaan holi mein hasinon se bhara hai rang ka maidan holi mein meri rakhna tu hi ab aabru bhagwan holi mein kisi rukh se koi aashiq nikal kar ja nahin sakta hasinon ne laga rakkha hai chuhe-dan holi mein abhi rangin khali tan hai man bhi lal ho jae tum apne hath se hum ko khila do pan holi mein ba-nam-e-rang chhu sakte hain sab ke gore galon ko wahi mushkil jo kal tak thi wo hai aasan holi mein sasur se sas se aur saliyon ke baad salon se gale mil kar nikale jaenge arman holi mein jawani mein hui shadi budhape mein hua bachcha jua khela diwali mein hua chaalan holi mein sab is surat se khelen rang 'nawak' ek dil ho kar rahe phir mard aurat ki na kuchh pahchan holi mein