bahaar to hai magar hasil-e-bahaar nahin ye hi masal hai ki doli to hai kahaar nahin miyan police mein mulazim to biwi college mein uthata koi bhi ek dusre ka bar nahin lada hua hai girani ka bojh kandhe par hai kaun shakhs jo is daur mein kahaar nahin ab is se badh ke bhi hoga junun-e-azadi ki ghumte hain barahna badan pe tar nahin wo maulwi ho ki pandit ho sinf-e-nazuk ka wo khud shikar hai us ka koi shikar nahin ho jis hasin se mohabbat phire wo ghair ke sath bashar to kya hamein haiwan pe eatibar nahin bahut dinon mein mudarris jo aae hain 'nawak' to log sharm se karte nigah chaar nahin