bol sakte hain magar baat nahin kar sakte waqt aisa hai sawalat nahin kar sakte facebook ka bhi talluq hai talluq kaisa dekh sakte hain mulaqat nahin kar sakte itna gahra hai yahan kunj-e-khurafat ka shor log ab tarfa munajat nahin kar sakte ud to jaen shajar-e-kham ke zindan se hum dost hai dost se hum hath nahin kar sakte itna saffak hai ehsas ka manzar-nama log andaza-e-sadmat nahin kar sakte kya ye kam sadma hai do tarfa mulaqat ke beach bol sakte hain magar baat nahin kar sakte bas koi dukh hai jis bar numu karna hai jis ko hum rizq-e-ibaraat nahin kar sakte