nizam-e-fikr ne badla hi tha sawal ka rang

nizam-e-fikr ne badla hi tha sawal ka rang
jhalak utha kai chehron se infial ka rang

na gul-kadon ko mayassar na chand-taron ko
tere visal ki khushbu tere jamal ka rang

zara si der ko chehre damak to jate hain
khushi ka rang ho ya ho gham-o-malal ka rang

zamana apni kahani suna raha tha hamein
ubhar gaya magar aaghaz mein maal ka rang

asir-e-waqt hai to main hun waqt se aazad
tere uruj se achchha mere zawal ka rang

ba-san-e-takhta-e-gul meri fikr hai aazad
misal-e-qaus-e-quzah hai mere khayal ka rang


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close